Notas do episódio
Kuch bachpan ki yaadein hoti hain na… jo kabhi purani nahi hoti.
Humein apna poora bachpan toh yaad nahi rehta, lekin kuch pal aise hote hain jo aaj bhi bilkul clear hain. Jaise kal ki hi baat ho.
Is episode mein, main thoda sa wapas gaya hoon unhi yaadon ki galiyon mein.
Baba ka radio bajna… Maa ki awaaz se subah uthna… aur woh subahen, jab life mein itni saari cheezon ki fikar nahi hoti thi.
Tab hamare paas shayad bahut kuch nahi tha. Lekin phir bhi hum theek the. Khush the.
Aaj humari zindagi kitni fast ho gayi hai. Har waqt kuch paane ki, kuch prove karne ki, kuch aur banne ki race…
Site: listen.hubhopper.com

