Skip to content
Global sound
Lafz Urdu Poetry Podcast

Lafz Urdu Poetry Podcast

by Soz

Latest episode
Bashir Badr

About this podcast

Duniya mein jo do chaar logon ne jaana hai mujhe , unhe is baat ka ilm hai ki mujhe Urdu shaayari se ishq hai .
Recitation se main har woh emotion capture karna chaahta hun jo us tehreer mein saans leta ho ..
Jo jaadugari main mehsoos karta hun urdu zabaan mein .. meri koshish hai woh main aapko mehsoos kara sakun .

Yahi koshish hai meri ki junoon apna duniya tak pohocha sakun

Apna hi ek sher yahaan likh raha hun :

Tapak rahi hain mere asha'ar se khoon ki boonde'n
Kal shaam kisi haadse mein mar gaya hun main

Soz .

Ig : https://www.instagram.com/abhishek_soz?igsh=bG11dDl1ZDh0azJu
Se

Episodes

The newest 20 of 59 episodes

  • Bashir Badr · 4 minHijr ke waqt ka ek sher hai Jo baar baar padh raha tha main Bashir Sahab likhte hain Aur Jagjit ne gaaya bhi toh hai : MOHABBAT EK KHUSHBU HAI HAMESHA SAATH CHALTI HAI KOI…
  • Mohabbat ki ek nazm - Amjad Islam Amjad · 3 minTanha tanha baithe baithe Is ek nazm ko padhte hain Aur yaad karte hain Usi ek shakhs ko Woh jo saath chalte chalte Koi aur raah mud gaya Waqt ki aakhiri saans tak Jo apna kabhi…
  • Mujhse pehle tujhe jis shakh ne chaaha us ne - Ahmed Faraaz · 2 minMain subah ke pehlu mein leta Ye ek nazm padh raha hun Neend aankhon mein hai Aur ek khwaab table par baitha hai Tumhari yaad kamre mein Cigarette ke surmai dhue'n si Bharti jaa…
  • Woh ki har ahad e mohabbat se mukarta jaaye - Alamtaab Tishna · 2 minJanuary mein tishna saahab ki ye ghazal , badan par itwaar ki halki dhoop ki maanind mehsoos ho rahi hai .. main mal raha hun isey . PS : the music ive used in the background is…
  • Koi abr udey kisi kulzum se · 1 minSaaqi Faaruqi ki ye nazm .. udti udti kaano mein pad gayi mere .. kisi ne hawaaon pe rakh di hogi .. tamaam umra koi zaayaka ghulta raha .. Main ek lamhe ki dehleez par baitha…
  • Door se hi bus dariya dariya lagta hai - Waseem Barelavi · 4 minEk sher mein Waseem Sahab likhte hain : Main usko aansuo'n se likh raha hun Ki mere baad koi padh nah paaye :) Main sochta hun Ki aise kitne saare khat duniya mein Likhe gaye…
  • Woh Saahilon Pe Gaane Waale Kya Hue - Nasir Kazmi · 2 minSubah ke paanch baj rahe hain yahaan Mand mand baarishon mein bheegte hue Waqt nange paaon chal raha hai :) Main tanha apne kamre mein baitha baith Nasir saahab ki ye ek ghazal…
  • Main tumse pyaar karta hoon - Ashfaaq Hussain · 1 minKitni nanhi nazm hai ye Kisi chhote bachche ki tarah Aur usi ki tarah iska har ek lafz Kitna sachcha hai Zia Mohyeddin ke recitation ne is ek nazm ko kahaan se kahaan pohocha…
  • Tamaam umra tera intezaar humne kiya : Hafeez Hoshiarpuri · 1 minYe ek ghazal record ki shaair hain janaab hafeez hosiyaarpuri Aur kuchh kehne ko baaqi raha kya ? Apni ek nanhi nazm post kar raha hun Padhiye : Ek khwaab mein dekha tha tumko…
  • Koi Aashiq Kisi Mehbooba Se - Faiz · 2 minFaiz Ahmed Faiz ki yeh nazm sirf ek aashiq aur mehbooba ke darmiyan khāmushi aur yaadon ka fasaana nahin — balki ek khamosh inqilāb ki sarguzasht hai. Is mein mehbooba sirf ek…
  • Hum jo taareek raahon mein maare gaye · 2 minFaiz ki ye ek historic nazm hai jo unhone Julius aur Ethel Rosenberg ke khutoot se inspire ho kar likhi thi . Translation Aaga Shahid Ali ka hai Source Rekhta hai . Bohot waqt…
  • Ek Andha Safar Hai Ye · 3 minYe ek naya stanza kaha tha maine aur priya ne apni aawaaz mein piro diya . Aaj is saal ka aakhiri din hai .. aur ye kitna munaasib hai ye kehna aur mehsoos karna ki YE EK ANDHA…
  • Yun na mil mujhse khafa ho jaise - Ehsaan Daanish · 2 minAadaab Aaj subah phone scroll karte waqt Ehsaan Danish ki ye ek ghazal mili . Dafatan usko record bhi kar liya .. Yun hi ek random se recitation ki tarah Phir khayaal aaya ki…
  • Stand with RG Kar · 4 minYe nazm takreeban ek maheene pehle Kalimpong ki waadiyon mein record ki thi . Kaifi Azmi ki ye nazm duniya ki har ek Abhya ko dedicated hai . UTH MERI JAAN MERE SAATH HI CHALNA…
  • Ye pichhle ishq ki baatein hain - Mohsin Naqvi · 4 minMohsin Naqvi deewaano ke shaair hain .. Unki shaayari kisi khushbu ki tarah hai jo gaayab hone ke baad bhi maheeno yaad rehti hai .. Bahar-haal •Yaaqoot ek mehenge patthar ko…
  • Kahaan aa ke rukne the raaste , kahaan mod tha usey bhool jaa - Amjad Islam Amjad · 4 minAmjad saahab ki ye ek badi hi iconic ghazal hai . Woh saare log , jo kisi rishte se baahar toh aa gaye hain .. par mentally ab talak usi rishte ko jiye jaa rahe hain . Bus ki…
  • Bhali si ek shakl thi - Ahmed Faraz · 5 minAhmed Faraz ke liye Gulzar ne ek nazm mein likha tha : Sookh gaye hain phool kitaabo'n mein Yaar 'Faraaz' bhi bhichhad gaye hain Shaayad mile'n woh khwaabo'n mein ! Ye ek nazm…
  • In conversation with Ghalib · 7 minIbn e mariyam hua kare koi Mere dukh ki dawa kare koi Talking to Ghalib is like talking to your best friend . You can share all your secrets . Chacha Ghalib as he is known . He…
  • Tanvir Monis - Jaan majboor hoon · 3 minEk nazm mein kitne saare lamhe lipte hote hain . Kabhi kholo toh gulaab ki sookhi hui pankhudiyo'n ki khushboo aati hai . Is ek nazm mein bhi waisi hi khushboo hai .. Jaan…
  • Baat niklegi to phir door talak jaayegi · 4 minThe unwaan ( title ) of this nazm is " Andesha " , but most of the world knows it as " Baat niklegi toh phir " . The imagery is so beautiful .. The boy and girl are partying…

More like this

All Arts podcasts →

Live, last hour: 15,627 songs on 7,245 stations in 138 countries

Discover the world through radio

More ways to discover (9)

Heard something good? Save it, or open it straight away in Spotify.

★ Artist of the week The fastest riser on the radio this week
Your song here? From € 9 per week →
Reggaeton 24/7Continue listening