Epizódjegyzetek
Bhangarh ke bhootiyaan aur uski rahasyamayi kahaniyan to hum sabne suni hain. Lekin, kya aapne kabhi Ajabgarh ke baare mein suna hai? Yeh ek aisa sheher hai jiski kahaani sunte hi kisi ki rongte khade ho jaate hain. Gehre janglon aur khandharon se ghiri, yeh jagah aksar logon ke mann mein sawaal uthati hai: kya yeh jagah sach mein bhooton ka ghar hai?
Lekin fir bhi, kuch logon ki himmat itni badi hoti hai ki ve is jagah ke rahasyon ka parda faash karne ki shart par tayar ho jaate hain. Rajveer aur Tilak ne bhi ek aisi shart mein apna jeevan daala, bhale he mazak-mazak mein daala gaya tha…
Weboldal: ek-adhuri-kahani.simplecast.com

